Teri ulfaton me kae khaw likhe h
Kagjo par dhadkano ki aawaj likhe h
Jamane se hatkar kuchh nayab likhe h
1.Teri chahat me khud ko bekarar kar liya hu,
Tujhe dekh dekhkar khud ko bimar kar liya hu,
Ye Sama h aisa ki ab nafraton se inkar kar liya hu,
Mana ki safar me kante bahut h
Par kanto ki safar me bhi kuchh gulab likhe h
Teri ulfaton me kae khaw likhe h
Jamane se hatkar kuchh nayab likhe h(1)
2.Meri mohabbt ka geet tum hi toh ho,
Jo gunjata h meri lavon pe vo sangeet tum hi toh ho,
Har baar jise dekha h aankhon me vo preet tum hi toh ho,
Tum hi toh ho jise dekhkar humne isq ke sailab likhe h
Teri ulfaton me kae khaw likhe h
Jamane se hatkar kuchh nayab likhe h(2)
3.Tu Jo gungunati h bhauron ki terah
Tu Jo chamakti h chandani ki terah
Tu Jo bikharti h raushani ki terah
Toh ye Mann machalta h, ki mera dil dhadkata h
Par Teri raushani se hi humne andheron ki mehfil me bhi aftaab likhe h
Teri ulfaton me kae khaw likhe h
Kagjo par dhadkano ki aawaj likhe h
Har baar diwangi ka andaz likhe h
Par jamane se hatkar kuchh nayab likhe h
Teri ulfaton me kae khaw likhe h(3)