Monday, 30 July 2018
Saturday, 28 July 2018
TERI ULFATON ME
Kagjo par dhadkano ki aawaj likhe h
Jamane se hatkar kuchh nayab likhe h
1.Teri chahat me khud ko bekarar kar liya hu,
Tujhe dekh dekhkar khud ko bimar kar liya hu,
Ye Sama h aisa ki ab nafraton se inkar kar liya hu,
Mana ki safar me kante bahut h
Par kanto ki safar me bhi kuchh gulab likhe h
Jamane se hatkar kuchh nayab likhe h(1)
Jo gunjata h meri lavon pe vo sangeet tum hi toh ho,
Har baar jise dekha h aankhon me vo preet tum hi toh ho,
Tum hi toh ho jise dekhkar humne isq ke sailab likhe h
Jamane se hatkar kuchh nayab likhe h(2)
Tu Jo chamakti h chandani ki terah
Tu Jo bikharti h raushani ki terah
Toh ye Mann machalta h, ki mera dil dhadkata h
Par Teri raushani se hi humne andheron ki mehfil me bhi aftaab likhe h
Kagjo par dhadkano ki aawaj likhe h
Har baar diwangi ka andaz likhe h
Par jamane se hatkar kuchh nayab likhe h
Teri ulfaton me kae khaw likhe h(3)
Saturday, 23 June 2018
AANKHON KA KAYAL
Teri aankhon ka kayal ho jaun,
Mohabbt ke mausam me baadal ho jaun,
1.Baras jaun ghata bankar Teri har jism par,
Kuchh iss terah ki tu mujhe mehsoos kar lo,
Tujhe dekhu kuchh iss terah ki
Tu mera vishwas kar le,
Mere hone ka ehsas kar le,
Tujhe chahu kuchh iss terah ki Teri
Chahat me pagal ho jaun
Teri aankhon ka kayal ho jaun
Mohabbt ke mausam me baadal ho jaun...(1)
2.Ye nasha tujhme hai ya tere pyar me
Sukoon tujhme h ye tere deedar me
Sochta hu ki sanso me sama lu tujhe,
Ki Dil ki dhadkan bana lu tujhe,
Par Teri nazro me Jo dekhu toh ghayal ho jaun,
Teri aankhon ka kayal ho jaun
Mohabbt ke mausam me badal ho jaun...(2)
#VEDANT
Thursday, 22 March 2018
Ek baar firr
Ek jarurat SA hai ki HM Soch leeh
Kya khoya kya paya ye khoj lee
Jaruri thodi hai ki pechtae or roooe
Kbhi Dil krr deta hai ki safalta ki chader m khoe r muskurae
Muskurae hue chader me hmne kisiki sikayat sunn lii
Kisi ki aahat sunn li Kisi ki chahat sunn li
Kambakht kya kya btae
Hmne tare ke niche kuch bacho ki siskiya sunn lii
Wo nai dhup hai
Wo iswar Ka swarup hai
Wo tutte tare Ka aas hai
Kehta hai Jana
Wo Bharat ke bhawisya Ka pyas hai
Prr ab Dil beiman ho gya
Paresan thoda hai prr aaram Jada krr rha
Bejhijhak hmne unhe piche choda hai
Prr mehnat unjaisi kha krr rha
Ab utthte hai na ek Baar firr
Ladte hai na ek Baar firr
Mai tooh kehta hu
Jitte hai na ek Baar firr.
Mystery1
Monday, 25 September 2017
Tuesday, 13 June 2017
Jio ek baar firrr
Tum nai dhup ho
Tum iswar ka Swarup ho
Tum tutte tare ka
Aas ho
Kehta hai jamana
Tum Bharat k bhawishye ka
Pyas ho.
Prr sochta kha hai koi
Kai jhopdiyo me tum khoe ho
Kai mitti se Bani Vidyalay me
Fhut fhut ke roe ho
Or to or
Kai raat khuli aakh soe ho
Tab bhi
Tum se ummid bhut hai
Teri kamjoriyo se shikayat
Usse Jada hai
Kyu ki
Tumne muskilo se ladna Shikha hai
Tumne gir kar sambhalna Shikha hai
Tumhari baato m sachai hai
Tumne apne Ander kai Raaj chipai hai
Ab uttho fir
Lado firr
Jeetoo firr
Mai to kehta hu
Khuli aakho se
Jio ek Barr firr
#amal..
Wednesday, 17 May 2017
BHAROSA
Ab jab bhi bharosa ki baat karenge,
To yakinan kewal ghar ki karenge.
Bekhauf ek sawal tab bhi dhadhkan me hai,
Ki ab yatim kispe bharosa kreng.
Ab hm apni chadar badal lenge,
Jarurat padi to nayi kharid lenge.
Silsila sawal ka tab bhi wo uthaeng,
Jinke kewal sikke khankeng..
Hm had se jada tere dard seh lenge,
Tum gurur se jio islie sayad kbhi mil lenge.
Ek baat tab bhi samajh nhi aata
ab hm tumhe 'tum' kis hak se kaheng
#mystery1
Monday, 24 April 2017
Churake dil mera goriya chali
Chura ke dil mera goriya chali...
Udake dil mera goriya chali...
Tujhe chahta rha , tujhime khota rha
Prr fir bhi tum mili
Chura ke dill mera goriya chali
Abhi to mile tum sitaro se aage
Abhi dil mera tere pass jane se bhage
Har roj mai ebadat karu jo
Ki kisi din tujhse najre milenge
Bharosa karo tum mai tujhe chahta hu
Kisi r ko tum dil to na doge
Agar dikh gai jo kuch badmasiya
Wada hai mera fir na milenge
Kehta hu mai darte hue
Sato janam tum meri raho
Tujhe mai chahta rha, tujhime khota rha
Prr firr bhi tum na mili
Chura ke dil mera goriya chali.
Mystery1
https://youtu.be/0ezQyY1gQpk
check out for original song
Singer-Prince Kr Sharma
Friday, 14 April 2017
Abhi na jao chor krr
Abhi na jao chor krr
Ki dill abhi bhara nhi...
Abhi abhi to tum dikhe ,
Abhi abhi to dill khile.
Abhi abhi jo najro ka,
Khawab hai naya naya.
Ye meri jo khawaise,
Talab hai tu nayi nayi.
Ye hawae jo machal rhi ,
Teri jhulf lie chal rhi.
Keh rhi hai pyar se,
Abhi na jao chor ke
Abhi na jao chor ke
Ki dil abhi bhara nhi....
MYSTERY1...
Tuesday, 28 February 2017
Yaaadddd
Ye kaisi aahte hai jo sunai nhi de rhi,












